Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics – Sonu Nigam (From ‘Dunki’)
Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics is the latest song released by Sonu Nigam (From ‘Dunki’).
Songs Credit :
Song – Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics
Artist – Sonu Nigam (From ‘Dunki’)
Movie – Dunki
Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics
nikle the kabhi hum ghar se
ghar dil se magar nahi nikla
ghar basa hai har dhadkan mein
kya karein hum aise dil ka
badi door se aaye hain
badi der se aaye hain
par ye na koi samjhe
hum log paraaye hain
kat jaaye patang jaise
aur bhatke hawayon mein
sach pucho toh aise
din humne bitaaye hain
par yeh na koi samjhe
hum log paraaye hain
yehi nagar yehi hai basti
aankhein thi jise tarasti
yahaan khushiyan thi kitni sasti
jaani pehchaani galiyan
lagti hain purani sakhiyan
kahaan kho gayi woh rang raliyan
bazaar mein chai ke dhaabe
bekaar ke shor sharaabe
woh dost woh unki baatein
woh saare din sab raatein
kitna gehra tha gham
inn sab ko khone ka
yeh keh nahi paaye hum
dil mein hi chupaaye hain
par ye na koi samjhe
hum log paraaye hain
nikle the kabhi hum ghar se
ghar dil se magar nahi nikla
ghar basa hai har dhadkan mein
kya karein hum aise dil ka
kya humse hua kya ho na saka
par itna toh karna hai
jis dharti pe janme the
uss dharti pe marna hai
jis dharti pe janme the
uss dharti pe marna hai.
Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics Sonu Nigam (From ‘Dunki’)